About

My Name is Vivek Rohilla, I'm living in New Delhi. Shayari is my Hobby, My all Shayari are dedicated to someone very special to me. Here you find many types of Shayari like Love Shayari, Miss you Shayari, Dard Shayari, Funny Sms and many more.
If you want to share your shayari, just send me on comment.

e enjte, 7 qershor 2007

Intezaar

Chale aao tum! ke hum yaad karte hain,
Yeh woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hain,
Jala ke dil me hasraton ke chirag,
Aapke aane ka intezaar karte hain.

Yaado ka ye karawa hamesha rahega......
Door jaate hue bhi pyaar wahi rahega.....
Maff karna mill nahi sake apse......
Magar yakin rakhana in ankhion mein intezar wahi rahega.

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,
Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai.!

Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai,
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai,
Aaj puchha hai dil ne ek sawal tumse,
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai.

Nuk ka komente: